Sheikh Saadi - Syed Farhan Ali

Download Report

Transcript Sheikh Saadi - Syed Farhan Ali

DAILY LESSON PLAN
Topic:HIKAYAAT-E-SAADI
Class:- V
Subject:- Urdu
Name:- MS.NIGHAT GHAURI
Institution:- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IV
Date:- 8th July 2011
TOPIC BACKGROUND





Sheikh SAADI 1184 C.E mien IRAN k shaher
Sheeraz mien paida huay.
Aap ka asal naam SHARF-UD-DIN, laqab
MUSLEYH or takhalus SAADI tha.
Ibtedai taleem SHERAZ mien hasil ki or is k baad
mazeed taleem k liye BAGHDAD tashreef lay
gaye.
SAAD BIN ZANGI ki munasibat say apna
takhalus SAADI rakha.
Sheikh Saadi nay 1291 C.E main Sheeraz main
wafat pai.
TASANEEF-E-SAADI
i. BOSTAAN-E-SAADI (1257)
Ye akhlaqi mozuaat par likhi gayi Nazmoon ka majmua
hay jis mien 4000 ashaar shamil hain. Iska asal naam
SAADI NAAMA hay.
ii. GULISTAN-E-SAADI (1258)
Ye nasri tasneef hay jis mien Tassaswuf k mazameen or
nasihat amaiz HIKAYAAT shamil hain.
iii. QURAN-E-MAJEED
ka farsi zaban mien tarjuma.
iv. Deegar 20 Tasaneef
Arbi or Farsi zaban mien Qasaid, Ghazalyaat,
Masnawiyaat, Rubayaat or Qataat shamil hain.
EFFECT




Farsi adab k bunyadi sutoon jin k baghair farsi adab
namukammal hay.
Naamwar adeebon or shairon nay SHEIKH SAADI ki
mashoor tasaneef GULISTAN or BOSTAN say mutassir
ho kar usi tarz par kitaben likhin magar unhen wo pazirai
hasil naa ho saki.
Dunya ki takreeban tamam zabanoon mien SHEIKH
SAADI ki tasaneef ka mutadid bar tarjuma kiye ja chuka
hay.
Sheikh Saadi Ibne Batoota k baad dosrey badey
mashraqi sayyah hain.
CONCLUSION
SHEIKH SAADI ki tasaneef ka shumaar dunya k
classical adab mien kiya jata hay.
 SHEIKH SAADI ki tasaneef ka maqsad mehez
shohrat hasil karna naa tha balkay un k peshay
nazar asal maqsad ISLAH-E-UMAAT-E-MUSLIMA
hay.
 Hikayaat mien danishmandi ki aisi baten aam
fehem andaz mien bayan ki gayi hain jin mien
koi Naseehat ya Peghaam hota hay ya aisa
jumla zarur hota hy jo aqwaal ya zarbul misaal
ka darja rakhta hay.

ACTION PLAN
TOPIC:- SHEIKH SAADI (R.A)
Name:- MS.NIGHAT GHAURI
Institution:- D.A MODEL HIGH
SCHOOL Ph:IV
Subject:- Urdu
Class:- V
LONG TERM GOAL
21st century k taqazoon ko madday nazar
rakhtey huay nisab mukammal karvaya
jaye ga.
 Students dor-e-jadeed k tareeqa-e-tadrees
say rooshnaas ho sakain.

SHORT TERM GOAL
Sabaq k hawalay say bachon say mukhtalif
andaz mien sawalaat kiye jaen.
 Unki zehni silahiyatoon ko ujagar kiya jaye takay
wo sawalaat k jawabaat behtar andaz mien day
saken.
 Inki kaarkardagi ki Hosla afzai ki jaegi takay wo
apni maloomaat mien mazeed izafa karnay ki
koshish karen.
 Sabaq say mutalliq bachon ko Group Discussion
ka moqa farham kiya jaey.

INSTRUCTIONAL STRATEGIES
Bachon ko urdu zaban ki ahmiyat-o-afadiyat say
 roshnas karwaya jaey.
 Zakhira alfaz mien izafa kiya jaey.
 Sabiqa maloomaat ki madad say unki maloomaat mien
mazeed izafa karwaya jaye.
 Imdadi ashya ko istamal kiya jaey e.g charts/flash cards.
 Sabaq ki buland khuwani ki jaey.Bachon ko mushkil alfaz
k mani samjhaen or talafuz durust karwaen.
 Sabaq say mutalliqa mashqi sawalaat or qawaid ka
tehreri kam mukammal karwaya jaey.
 Sabaq ka khulasa or revision karwaya jaey.

CHALLENGES/SOLUTIONS
CHALLENGES
SOLUTIONS
a.Mushkil alfaz bar bar dhorany
or likhwany say unhen alfaz ki
pehchan hojaye gi.
b.Tasweeron, khakoon or
b.Naye sabaq k mutaliq bachon
naqshoon ki madad say
ki maloomat na hony ki bina
bachon ki sabaq mien dilchaspi
par unki dilchaspi kum hosakti
hasil ki ja sakti hy.
hy.
c.Bachon ki tawajjo hasil karny k
c.Alfaz k talaffuz ki drust adaeygi
liye Sheikh Saadi k dilchasp
mien mushkilat pesh aa sakti
waqiaat bayan kiye jaen.
hain.
d.Internet ki madad say wo khud
Sheikh Saadi k bary mien
assignment tayyar karen.
a.Mushkil alfaz ki shanakht or
likhny mien bachon ko
dushwari pesh a sakti hy.
TIME LINE
SEPTEMBER 2011
Sabaq
“QARARDAR-E-PAKISTAN”
say mutalliq
PROJECT:
“MINAR-E-PAKISTAN”
NOVEMBER 2011
“SIRAT-E-TAYYABA(P.B.U.H)”
DEBATE
JANUARY 2012
“MEHNAT KI AZMAT”
ASSIGNMENT
MARCH 2012
STAGE DRAMA:
“HUM AIK HAIN”
&
“ANNUAL PRIZE
DISTRIBUTION”
CLASS V NEWS LETTER
By:Ms.Nighat Ghauri
*
Is week class mien kiya kaam
kiya gaya.
Sabaq “Hikayat-e-saadi”
parhaya gaya.
 Aap k safarnamon, halate-zindagi or shaksiyat k
mukhtalif pehluon se
aagah kiya gaya.
 Aap ki chund sabaq
aamooz hikayaat yaad
karaen gayin.
 Mushkil alfaz ka imla liya
gaya or islah karwayi
gayi.
 Sabaq ka khulasa likhnay
k liye diya gaya.

July 10th,2011
* Next week class mien kiya
kaam karwaya jayega.
•
•
•
Naya sabaq “darkhton ne
kaha” parhaya jaey ga.
Parents baray-emeherbani bachon ko
darakhton ki ahmiyat-oafadiyat k bary mien
ibtedai maloomat
faraham karen.
Sheikh Saadi ki 2
Hikayaat nisab k elawa
yaad karwa den.
RESOURCES
Internet.
 Urdu Encylopedia.
 Books:*Hayat-e-Saadi. (1896)
by:- Molana Altaf Hussain Hali.
*Hikayaat-e-Gulistan-e-Saadi.
by:- Malik Kareem Baksh.
*Hikayaat-e-Saadi.
by:- Mian Mehboob.
